Wo nanhi si kali jab is jahaan me aayi   Khushiyo ki saugaat ban sab ke dilo me chaayi   Khubsoorti thi uske kan-kan me samayi   Kami thi gar koi, to bas naino ki roshni     Bin rango ke khili- wo yun mehki   Paas aa kar uske duniya muskuraayi   Nidarr sahasi to use sab keh gaye   Magar rangeen jahaan me wo berang hi rahi     Na use koi dard na afsos kabhi   Dil ki aankho se wo har nazaara khud me samayi   Bin roshni hi usne apni duniya sajayi   Apne jahaan ko apne hi tulika se bhari     Hazaaron khwahisho mein bas ek khwab aisa   Masumiyat kaho ise- par sapno se bhare the uske bhi naina   Mil jaata agar koi jo use apna kehta   Bahari sundarta chod uske dhadkano ko pehchanta     Na din ki khabar na raat ka koi pata   Waqt ko na jaane kaise usne mehsus kiya   Saanj-savere usne kiya intezaar bepanah   Fir takraya ittefaq se rajkumar uska     Na chaha usne uski khubsoorti na hi mehek   Bas dekha usne un bhole naino ki chamak   Apne sapne chod uske sapno ko pura karne ka junoon tha  ...