Wo nanhi si kali jab is jahaan me aayi
Khushiyo ki saugaat ban sab ke dilo me chaayi
Khubsoorti thi uske kan-kan me samayi
Kami thi gar koi, to bas naino ki roshni
Bin rango ke khili- wo yun mehki
Paas aa kar uske duniya muskuraayi
Nidarr sahasi to use sab keh gaye
Magar rangeen jahaan me wo berang hi rahi
Na use koi dard na afsos kabhi
Dil ki aankho se wo har nazaara khud me samayi
Bin roshni hi usne apni duniya sajayi
Apne jahaan ko apne hi tulika se bhari
Hazaaron khwahisho mein bas ek khwab aisa
Masumiyat kaho ise- par sapno se bhare the uske bhi naina
Mil jaata agar koi jo use apna kehta
Bahari sundarta chod uske dhadkano ko pehchanta
Na din ki khabar na raat ka koi pata
Waqt ko na jaane kaise usne mehsus kiya
Saanj-savere usne kiya intezaar bepanah
Fir takraya ittefaq se rajkumar uska
Na chaha usne uski khubsoorti na hi mehek
Bas dekha usne un bhole naino ki chamak
Apne sapne chod uske sapno ko pura karne ka junoon tha
Jinhe pehle kabhi koi dekh bhi na saka
Mohabbat ke roop to kai hote hain
Ab inke ishq ki kya daastaan sunau?-
Palkon par basi lamho se saji
Indradhanush se bhi khubsooat
Bani sang-sang dono ki zindagi
Khushyian unhone itni gholi sath-sath
Jise na haasil kar paaye koi aam insaan
Bin roshni jo kali thi khili
Aaj wo khud ko roshan kar murjhayi
Comments
Cool blog you've got here. Gonna follow you up! =)
Post a Comment