Wo nanhi si kali jab is jahaan me aayi Khushiyo ki saugaat ban sab ke dilo me chaayi Khubsoorti thi uske kan-kan me samayi Kami thi gar koi, to bas naino ki roshni Bin rango ke khili- wo yun mehki Paas aa kar uske duniya muskuraayi Nidarr sahasi to use sab keh gaye Magar rangeen jahaan me wo berang hi rahi Na use koi dard na afsos kabhi Dil ki aankho se wo har nazaara khud me samayi Bin roshni hi usne apni duniya sajayi Apne jahaan ko apne hi tulika se bhari Hazaaron khwahisho mein bas ek khwab aisa Masumiyat kaho ise- par sapno se bhare the uske bhi naina Mil jaata agar koi jo use apna kehta Bahari sundarta chod uske dhadkano ko pehchanta Na din ki khabar na raat ka koi pata Waqt ko na jaane kaise usne mehsus kiya Saanj-savere usne kiya intezaar bepanah Fir takraya ittefaq se rajkumar uska Na chaha usne uski khubsoorti na hi mehek Bas dekha usne un bhole naino ki chamak Apne sapne chod uske sapno ko pura karne ka junoon tha ...