Na jagoo mai jab ye barish ho
Ye boondein jo yaad teri dilayein
Na saath raha iss barsaat ka kabhi
Kai sapne to humne yun hi sajaye
Kuch to log kahenge unka kaam hai kehna
Kya beeti uss roz hum pe ye muskil hai batana
Na samjha koi na hi hum unhe batla paye
Dil ke tukde hue bhi to bina shor ke;
Fir kya koi jaan paaye..!
Ab lagta hai gar hoti koi awaaz to dard na hota itna
Zubaan khamosh na hoti ashkein na kahaniyaan sunati
Dil se roz nikalti hai ik dua, par,
Jaane kyun labo par aane se ghabraaye wo
In boondo ki tarha naino se beh jaaye wo
Lafz ki talaash mein wo tadapte rahe;
Par na koi awaaz naa hi koi shor
Barsaat ne rulaya hume kai baar
na jaane kyun aaj aaye na wo jazbaat
Bakhuda aaj fir aayi hai teri yaad
Aankho mein aansu na sahi
Par labo pe ek halki si hasi to aayi
Yun lage ke beet gaya Jamana koi
Fir bhi taaza hai yaadein us pal ki aur teri
Jisne diya mujhe ek taufa anmol
Nafrat ke baad ab aaya hai pyaar
Mujhe is mausam pe...is barsaat pe.
Gar kabhi tu na hota mere sang
Na hoti aaj ye tanhaiyaan Viraaniyaan;
Na hi hoti aaj Boondo se meri baat...!
Comments
Post a Comment